Top 20+ Eyes Poetry in Urdu |آنکھیں| Beautiful Ankhain Shayari

Read Best Eyes Poetry in Urdu With Emotional Images at Ab Poetry. Here, you will find the latest collection of 20+ Ankhain Shayari in Urdu text.

Congratulations, you found the right place if you’re looking for the best Eyes Urdu in Poetry with beautiful and complementary images.

There is the latest collection of more than 20 Ankhain Shayari in Urdu text with captivating and amazing images.

Sad eyes poetry in Urdu

Eyes Poetry in  Urdu
Eyes Poetry in Urdu

تم یوں ہی ناراض ہوئے ہو ورنہ میخانے کا پتہ
ہم نے ہر اس شخص سے پوچھا جس کے نین نشیلے

Tum yun hi naraz hue ho warna maikhane ka pata
Hum ne har us shakhs se poocha jis ke neen nashiley thay

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

بادل تو بہت ہیں، مگر اس شہر میں ہم نے
آنکھوں کے سوا کچھ بھی برستے نہیں دیکھا

Baadal to bohat hain magar is sheher mein hum ne
Aankhon ke siwa kuch bhi baraste nahi dekha

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Eyes Poetry in Urdu
Eyes Poetry in Urdu

‏بڑی حکمت سے قدرت نے سجایا ہے تجھے
مناسب قد، کمر پتلی، شفق چہرہ، غزل آنکھیں

Bari hikmat se qudrat ne sajaya hai tujhe
Munasib qad, kamar patli, shafaq chehra, ghazal ankhain

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Beautiful eyes poetry in urdu

‏آپ عینک اتار کر رکھ دیں
ہم نے آنکھوں سے بات کرنی ہے

Aap aankh utaar kar rakh dein
Hum ne aankhon se baat karni hai

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

وہ پوچھتا تھا مری آنکھ بھیگنے کا سبب
مجھے بہانہ بنانا بھی تو نہیں آیا

Wo poochta tha meri aankh bheegne ka sabab
Mujhe bahanah banana bhi to nahi aya

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

رونے کی سزآ ہے نہ رلانے کی سزا ہے
یہ رسم الفت نبھانے کی سزا ہے
نکلتے ہیں جو یہ آنکھ سے آنسو
کسی کو بے تحاشا چاہنے کی سزا ہے

Rone ki saza hai na rulane ki saza hai
Yeh rasam-e-mohabbat nibhane ki saza hai
Nikalte hain jo yeh aankh se aansoo
Kisi ko be tehasha chaahne ki saza hai

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Eyes Poetry in Urdu
Eyes Poetry in Urdu

آنکھ لگ جائے تو سرہانے کھڑا رہتا ہے
مر گیا میں تو میرے دکھ نے اجڑ جانا ہے

Aankh lag jaye to sarhane khara rehta hai
Mar gaya main to mere dukh ne jarr jana hai

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

attitude eyes poetry in urdu

تُو کہاں ڈھونڈتا پھرتا ہے میری چشمِ تر
زندگی آنکھ کے پانی سے بہت آگے ہے

Tu kahan dhundta phirta hai meri chashm-e-tar
Zindagi aankh ke paani se bohat aage hai

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
اپنی تصویر کو آنکھوں سے لگاتا کیا ہے؟
اک نظر میری طرف بھی، تیرا جاتا کیا ہے

Meri tasveer ko aankhon se lagata kya hai?
Ek nazar meri taraf bhi, tera jata kya hai

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

جی بھر کے اسے جاتے ہوئے دیکھنے تو دے
اے آنکھ ٹھر جا! تجھے رونے کی پڑی ہے

Ji bhar ke use jaate huye dekhne to de
Ae aankh thar ja, tujhe rone ki pari hai

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

تم کو وہ شخص عام لگتا ہے.؟
مجھ سے آنکھیں اُدھار لے جاؤ

Tum ko woh shakhs aam lagta hai?
Mujh se aankhein udhaar le jao

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

love eyes poetry in urdu

تجھے بھلانا نہیں ممکن اس کا تقاضا نہ کیا کر
آنکھیں اندھی بھی ہوجائیں تو آنسو رکا نہیں

Tujhe bhulana nahi mumkin is ka tawaqo na kiya kar
Aankhen andhi bhi hojaien to aansu ruka nahi

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─ہ

جب ڈوب کے مرنا ہے تو کیا سوچ رہے ہو
ان جھیل سی آنکھوں میں اتر کیوں نہیں جاتے

Jab doob ke marna hai to kya soch rahe ho
In jeel si aankhon mein utar kyun nahi jaate

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─ہ
ہم سے ملتے ہیں تو ملتے ہیں جھکا کر آنکھیں
نہ جانے کس کے لئیے رکھتے ہیں سجا کر آنکھیں

Hum se milte hain to milte hain jhuka kar aankhein
Na jaane kis ke liye rakhte hain saja kar aankhein

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─ہ

اس کی آنکھوں میں بھی کاجل پھیل رہا ہے
میں بھی مڑ کے جاتے جاتے دیکھ رہا ہوں

Us ki aankhon mein bhi kajal phail raha hai
Main bhi mur kar jaate jaate dekh raha hoon

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─ہ

Romantic eyes poetry in urdu

سیرتیں بے قیاس ہوتی ہیں
صورتیں غم شناس ہوتی ہیں
جن کے ہونٹوں پہ مسکراہٹ ہو
ان کی آنکھیں اداس ہوتی ہیں

Seeraten be qayas hoti hain
Sooraten gham shinaas hoti hain
Jin ke honthon pe muskurahat ho
Un ki aankhen udaas hoti hain

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─ہ

مجھے جو آنکھ سے اوجھل دکھائی دیتا ہے..
وہ چُپ رہے بھی تو مجھ کو سنائی دیتا ہے..
تمہارے قدموں میں رکھ دی شاعری اپنی..
کسی کو کون یوں اپنی کمائی دیتا ہے..

Mujhe jo aankh se ujhal dikhai deta hai…
Woh chup rahe bhi to mujh ko sunai deta hai…
Tumhare qadamoun mein rakhi di shaayari apni…
Kisi ko kaun yun apni kamaai deta hai

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─ہ
تمہیں بھی آخر کو تھام لیں گے کئی سہارے
میری بھی آنکھوں پہ کون کافی نہیں مرے گا

Tumhein bhi akhir ko thaam lenge kayi sahara
Meri bhi aankhon pe kaun kaafi nahi merega

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─ہ

راستہ بتاتے ہیں مگر آنکھوں پہ پٹی باندھ کر
کچھ ہمسفر کرتے ہیں یوں بھی حوصلہ افزائیاں

Rasta batate hain magar aankhon pe pati bandh kar
Kuch hamsafar karte hain yun bhi hausla afzaaiyaan

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─ہ

ankhain poetry in urdu

مُدتوں روئیں گی وہ آنکھیں ہمیں بھولنے کو
مُدتوں ہم تیرے اشکوں میں پائے جائیں گے

Mudaton royiengi woh aankhein humein bhoolne ko
Mudaton hum tere aansuon mein paaye jayenge

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─ہ

کچھ تو لگے کہ رات کا جاگا ہوا ہے تُو…
صاحب نمک ہی ڈال کے آنکھوں کو لال کر

Kuch to lage ke raat ka jaaga hua hai tu…
Sahib namak hi daal ke aankhon ko laal kar

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Heart touching eyes poetry in Urdu

Tags: Heart Touching Poetry, 2 lines poetry, New Best Poetry in Urdu 2 Lines

♥You Might also Like ♥

◆ Birthday poetry in Urdu

◆ Death poetry in Urdu 

◆ Tanhai poetry in urdu 

Leave a Comment